Tuesday 7 April 2015

police


Pakistan main police Walon ki koi izzat nahi yeh baat hum sab buhut achi tarha se jantay hain. laikin kia kabhi socha hai aisa kiun? buhut se logon ka jawab hoga bhai inki harkatain hi aisi hain, koi kahta hai sab se baray rishwat khor hain sab se sust hain aur na janay kia kia... but kia kabhi kisi ne yeh socha hai k inko baqi forces ki tarha koi bhi privilleges nahi milteen. na in k bachon k liye koi schools hain na police k liye koi acha hospital.. phir jawab ata hai k bhai government schools and hospitals hain to. laikin sawal yeh hai k army ,air force, navy aur rangers bhi to government k hi idaray hain tp phir in k beemaron k liye behtreen hospitals in k bachon k liye behtareen school sari utilities almost free aur na janay kaun kaun se allowances. kiun? bhai jab mulk main aman o amaan ki zimmadari bhi inki hai becharon ka death toll bhi ziada ooper se  monthly pay bhi kam jis pe saray utility bills bachon k school ki fees ghar ka kharch dawa daru sab us police walay ne apni jaib hi se deni hai to phir apnay aap ko uski jaga pe rakh k daikhain. aap kaisay galat raastay se paison k peechay na bhaagaingay. aap police ko kitna bura bhala bolain laikin un main aur kisi bhi forces k banday main koi farq nahi hai bas farq hai status ka doosray department apnay aap ko fit rakh k angraizi bol k loot tay hain yeh seedhi zaban jo aapko samajh ajaye us main baat kar k kaam nikaltay hain agar aap police walon ki tankhwah barha dain, unko monthly utilities ka kharcha dain un k bachon k liye schools aur un k medical allowance unko dain to phir daikhain yeh bhi aap k liye utnay hi kaam aayengay.

Monday 23 February 2015

Pakistanis

We Pakistanis are hopelessly hopeful about everything we have & we don't have. For instance, recently our Pakistani cricket team is not only playing cricket in grounds but they are also playing with the emotions of pakistanis. After loosing each match every pakistani thinks"yaar kia gali muhallay ki cricket khail rahay hain saalay, khama kha main neend kharab ki" after praising them high with slangs every one promise to himself that i will not sacrifice my Neend for such stupid team. per jab agla match shuru hota hai to sab bewaqoof aik martaba phir bewaqoof bannay k liye tv screens k samnay baithay dua kar rahay hotay hain "Allah aaj to jita day bari bachi team hai aaj" but that bachi team ne pungi baja daali.Asal main poori cricket team ne poori qaum ko bewaqoof banana hai aur bana rahay hain aur hum saaday loge bewaqoof ban rahay hain. pakistani cricket team ki performance ko dua se ziada dawa ki zarurat hai. 

loge kia kahingay


Blog shuru kartay waqt pehli soch jo zehen main ubhri who thi zaban ka intikhab jo k meray liye is liye mushkil hua kiun k buhut si cheezain hum angraizi main ziada achi tarha samjha saktay hain aur buhut si cheezain urdu main baaz auqat aap urdu k lafz k maini pooch rahay hotay hain aur baaz auqat you are finding urdu translation for english word. Phir socha jaisi aaj kal hum sab ki zindagian dohri ho chuki hain waisay hi is blog ki zaban bhi dohri hi ho to kia baat hai?
Baat to khair galat hai laikin buri nahi to socha urdu english mix kar k urdunglish likh daaloon.
Is blog main who likhungi jo dil karega to person who differs have right to leave and people who like are more then welcome.
To shuru kartay hain aik aisay topic se jo shayad sab hi ki zindagi main buhut aham hai….
Loge kia kahaingay?
Yeh who sawal hai jo aik sab se bara khauf hai hum sab k dilon main. Hum khud ki khushi aur bhalai se ziada yeh sochtay hain k loge kia kahaingay. Aray yeh na karo loge kia kahaingay aray aisay kapray kiun pehnay, wahan kia kar rahay thay, baal kata lo, hanso nahi har cheez k agay aik seeghay ka izafa hojata hai loge kia kahaingay.
Haye yeh loge bhi na maaloom afraad ki tarha hotay hain har waqt hamaray peechay saye ki tarha lagay rehtay hain chup chaap se sirf aankhain hi dikhatay rehtay hain k kuch man marzi ki to bas hum to bolaingay.
Insaan ki paidaish se le kar us k marnay tak loge sirf boltay hi rehtay hain laikin asal masla yeh hai k hum logon ko itna mauqa detay hi kiun hain k who hamari zindagion main dakhal andazi karain. Kisi k andar itni jurrat nahi honi chahiye k who aap k liye aap k samnay ya aap k peet peechay baatain banaye. Us k liye yeh bhi zaruri hai k aap ka kirdar aur ikhlaq buhut mazboot hoon.